Woh tum na thay ik khayal tha
Meri soch ka hi kamal tha
Woh muhabbtain woh chahtain
Meri uljhnoun ka hi jaal tha
Mere dil main thin jo ronaqain
Woh tera hi Husn-O-Jamal tha
Jawab jis ka mila nahi sahil
Woh aisa hi ik sawal tha
Woh aaj mila to youn lga
Yehi to he wo jis ka intzar tha
Usay yaad kaise na kre koi
Usay bhulana to mohaal tha
Ab uss ki kya main misaal doun
Woh to apni misaal aap tha




