Koi dhond aisa humsafar jo mujh se barh k tujh ko chah sakay
To ager kahay k raat ho to woh chandni luta sakay
Tere aansoun ko samet le k koi na tujh ko rula sakay
Teri rah main hon jo mushkilain unhain apni palkon se hta sakay
tujhe rakh le apne hisar main k koi na tujhe chura sakay
teri dharknon ko samh sakay rug-o-jan main tujhe bsa sakay
Teri chahton k khumar main apni husti ko luta sakay
Teri ik nzar k junon main jan tak woh ja sakay
Koi dhond aisa humsafar jo meri trha tujhe chah sakay




